Shiddat e jazbaat ka shikaar hua hun..
Tujh pe main barham kayi baar hua hun..
Teray dil ko Dukhana, aik maamool sa hai ab..
Is baat pe sharam-saar kayi baar hua hun..
Tunay hi rakha hai is rishtay ki saakh ko Qayam..
Main to ghadaari se humkinaar kayi baar hua hun..
Teri muskuraahat main hai meri har naraazgi ka torh..
Is jaan lewa muskurahat pe fida main har baar hua hun..
Bat kehny ko thi asaan bari,.....
ReplyDeleteHumko kehny main aik umr lagi