Aaj phir aksar ki tarah sannataa hai
Har lamha dard ki ik lehar llata hai
Ik ajjeb si hai tees is dill main
Jaany dil isay kaise seh paata hai
Aati hai chehray pe raunaq
Jab meray mehboob tu Aata hai
Tu jaata hai to Ae dost
Sab rang khushiyan, sang le jata hai
Koi pathar hota to kab ka toot chukka hotaa
Yeh meray maula tera banda hi hai,jo sahay
jaata hai
MAyusi gunah hai,tera farmaan hai
Magar mairay rab itni dair to kuch bhi na jal
paata hai
Tera saath hai maula to hum bhi muskuraatay
hain
Magar aj to aisi kaifiyat hai,jaise koi
apna saath chorh jata hai
Main tera banda maula,mujh pe tera
haq-e-abdi
Khud day saza mujhay,dushmanon k hawaalay
na kar (kon apno ko kar jaata hai)
Meray ghamon ki tapish meray apno tak na
pohanchay
Yeh meri fariyaad-e-aajiz hai tujh se Ya
Allah
Jis pe jo beet’ti hai,wohi jaanta hai
Koi apnon ko kahan us takleef main daikh
paata hai
No comments:
Post a Comment