Wednesday, 18 June 2014

aaj toota..

Aaj toota hun to chahta hun k usay khabar na ho paaye..
K uskay dil pe kharaash ka bhi haqdaar nahi main...

a reminder of my survival..

Aaj phir aksar ki tarah sannataa hai
Har lamha dard ki ik lehar llata hai
Ik ajjeb si hai tees is dill main
Jaany dil isay kaise seh paata hai

Aati hai chehray pe raunaq
Jab meray mehboob tu Aata hai
Tu jaata hai to Ae dost
Sab rang khushiyan, sang le jata hai


Koi pathar hota to kab ka toot chukka hotaa
Yeh meray maula tera banda hi hai,jo sahay jaata hai

MAyusi gunah hai,tera farmaan hai
 Magar mairay rab itni dair to kuch bhi na jal paata hai

Tera saath hai maula to hum bhi muskuraatay hain
Magar aj to aisi kaifiyat hai,jaise koi apna saath chorh jata hai

Main tera banda maula,mujh pe tera haq-e-abdi
Khud day saza mujhay,dushmanon k hawaalay na kar (kon apno ko kar jaata hai)

Meray ghamon ki tapish meray apno tak na pohanchay
Yeh meri fariyaad-e-aajiz hai tujh se Ya Allah


Jis pe jo beet’ti hai,wohi jaanta hai
Koi apnon ko kahan us takleef main daikh paata hai



sunta hoon Aaj

Sunta hun aaj k dil kya kehta hai..
Tazabazub ka shikaar hai ya yunhi chup rehta hai,,

K yeh hasraton ki hai jeet, ya apnon se malaal..
Ya yeh iska hai kussoor k yeh Un se Aas lagaaye rehta hai..

Lagi hai Tthais isko, tabhi hain dharkanain, thammi thammi..
Dharak to raha hai yeh par zindagi ki hai kammi kammi..

Aas laga betha hoga, kisi se aashna honay ki..
Ab hai Aashna nahi, Aas tooti, zindagi bhi roothi..

Hai khud farebi ka Zuam buhat is nasaaz ko..
Thokar kha kha k bhi yeh Mehav-e-justujoo rehta hai..

Sunta Hun Aaj k dil Kya Kehta Hai..!!







shiddat e jazbaat

Shiddat e jazbaat ka shikaar hua hun..
Tujh pe main barham kayi baar hua hun..

Teray dil ko Dukhana, aik maamool sa hai ab..
Is baat pe sharam-saar kayi baar hua hun..
Tunay hi rakha hai is rishtay ki saakh ko Qayam..
Main to ghadaari se humkinaar kayi baar hua hun..

Teri muskuraahat main hai meri har naraazgi ka torh..
Is jaan lewa muskurahat pe fida main har baar hua hun..





teri tanhaiyan

TERI TANHAIYAN SAMAIT  LOON….
TUJHAY QURBATON KA QARAR DUN…

Meray haq aur naseeb ka hai jitna…
Main woh sab pyaar tujh pe waar doon…

AYay MUJHAY TUJH HI   PE RASHK…
MERI JAAN, MAIN ITNA TUJHAY PYAAR DUN…

SAARI DUNIYAA SE KARLUN DOOR TUJHAY…
TERA NAQSH MAIN IS DIL MAIN UTAR LUN…

Tu hai dharhkan meri,dil ki duniya aabad tujh se hai..
Tujh bin har pal tanhai,meri takmeel-e-zaat tujh se hai…

Apnay hathon se bikhairun teri zulfain aur sanwaar dun…

Tu rahay khush har pal,tujhay apnaiyat ka woh izhaar dun…